Tuesday 20 November 2012

The acts of Companions | A story of Hazrat Abu Huraira R.A | How Learn Quran


Ek baar Hazrat Abu Huraira RA bazar mein gaya aur buland awaz mein logon say kaha k "logo Masjid e Nabwi mein Muhammad SAWW ka Wirsa Taqseem ho raha hai aur tum yahan kin kamon mein lagay howay ho" to log kaam chorh ker bhagtay howay Masjid mein gaye to dekha k woahan Ahadith ke taleef di ja rahi thi , ap nay kaha k ye he to Wirsa hai Paighambar maal to nahi chorh ker jatay. wo to Ilm chorh ker jatay hain aur jis nay is Ilm ka hissa pa lia us nay ap ke wirasat ka hissa pa lia. in mein itnee tarap thi k agay anay wali naslon ko ye wirsa muntaqil kia jaye. Ahadith ka Ilm kessay agay pohncha.

*Ishaq as sabihi - 300 Ustadon say sabaq hasil kia

*Abdullah bin Mubarak - 1100 Mohadaseen say Ilam Hasil kia

*(Imam Abu Hanifa k Ustadon mein say thay)

*Malik Ibne Annas - 900 Mohadaseen say

*Hishaam bin Abdullah 1700 Shayukh say

*Abu Noyumal Asbahani 800 Ulema

*Ibne Asakir 1329 Ulima say

Ahmed Ibne Furat 1770 Shayukh say

Imam Zohri - 20 saal taak Musyub ke chokhat na chori

Hamad bin Zaid - 20 saal Ayub ke ham rakabi ke

Rabi Ibne Annas 10 saal taak Hassan Basri k saath rahay

Ibne Zarara 14 Saal Ibne Olaya k halqay mein rahay

Ibne Juraid 18 saal Atta Ibne Kissan k shagird rahay

Saabit bin Asslam 40 saal taak Imam Malik k Dars k Halqay mein shamil rahay

This post is written in roman Urdu.
 

No comments:

Post a Comment